Muslim marrying non Muslim - 16 Reasons and solutions

Assalamualaikum,

 *Sabhi hazraat jante hain ke Maharashtra mein har maheene 50-60 cases musalmano ke gair muslim se shaadi karne ke arahe hain*

 aur ye kuch kam nahi ho rahe. Aur Ye aag Muslim ilaaqon mein bhi pahonch chuki Hai. Aur unke ghar bhi pahonch chuki hai jinke ghar mein azan ki awazen aati hai.

Har ek fikarmand to hai aur alag alag reasons batate hain.

 *Ham iske 16 wujuhaat/reasons aur 4 long term solution/hal batana chahenge.* 👇🏽

 *Reasons/wujuhaat* -

Muslims ke gair muslim se shaadi karne ke 16 wujuhat

1. Ghar mein Deen ke mahol ki kami.  Liberalism ke agendas par chalna aur Feminism me aa kar betiyo  ko behaya karne ko azadi samjhna.

2. lack of attention towards children

3. Maan baap ka apne bachhon Ko school education ke saath Islamic education na dena ( Susti Kotahi ki wajeh se ya Jaan bhoojh kar).

4. Zyda padhi likhi ladki ko uske level ka Muslim ladka na milna.

5. Ladki ko baar baar rishte ane par ladki ka rishte reject hona aur phir umar bad jana. biradari mein shaadi bhi ek wajah hai, Talaq ya khula ke baad phir se shaadi nahi hona.

6. Maan baap ka bachhon ke galat kaam maloom hote huwe bhi saath dena.

7. Muslim maashre se door rehna aur gair muslim ki zindagi/lifestyle ko  pasand karna. Media aur news channel ke Islam ke khilaf propaganda ko  sahi samjhna. Muslim area/mohalle mein raston galiyon mein gandagi bhi ek wajeh hai jisse liberal mentality ke log muslim area mein rehna pasand nahi karte. Ghar mehlon jaise aur raste aur galiyan mein gandagi.

8. Job karti huwi ladki ki salary band hone ke dar se uski shaadi nahi/late karna.

9. Shaher/mulk se bahar reh kar job karne wale beta/beti ke Deen ki fikar na karna aur kabhi phone par bhi us line se baat na karna.

10. Apne Bachhon ke baare mein ye khush gumani rakhna ke wo to bahot achhe/deendar hain aur  unke mobile aur doston/saheliyon ki nigrani na karna.

11. Garibi ki wajeh se.

12. 12 saal ke upar ki ladkiyo ko masjid mein deeni taalim ke liye aane na dena.

13. Masjidon ka Deen sikhane aur Insaniyat ke bhalayi ke kaamon ke liye istemal na hona  aur sirf byan, namaz aur paisa jama karne ke liye hona.

14. Juma ke byano ka riwaji ho jana aur public ka interest khatam ho jana.

15. TV serials aur movies ke zariye se fahashi ko normalize karna

16. Bade shehron mein job ya padhai ke silsile mein ane walon logon mein ye baat bahot dekhi ja rahi hai, jaise Mumbai, Pune, Nagpur wagiara.

 *Solution/ Masle ka hal.*

1. Apne gharon mein deeni mahol paida karne ke liye maan baap dono ka fikarmand hona. Aur ise school/college ki padhayi ki tarah zaroori samjhna.

2. Ghar par koi islami kitab ( tafseer,seerat wagaira) ki rozana ya hafte mein kuch din taleem karna.

3. Muslim school/college ke Zimmedar bhi school/college mein upar diye huwe point-2 par amal karna.

4. Juma ke byan mein kya kehna hai iski tayyari 2 din pehle se karna. parenting guidlines par zor dena. Aur zaroori baate page par likh lena aur kisi se review karana. Ulema ka juma byan ke liye ek committe banana ke har masjid mein ek saath ek he topic par byan ho.

5. Masjid ko community centre banana jahan garibi, jahalat aur apas ke masael ko khatam karne ke program rakhna.

6. Badi masjidon, school, college mein ladkiyon ke liye hafte mein kuch din ya juma ke din intezam karna aur unke masale ko sunna, samjhna aur hal karne ka platform banana. Mard kam se kam juma mein to masjid aate hain par ladkiyan is se bhi door hai aur unke kaanon par deen ki baat pahonch hee nahi rahi

7. Talaq/khula ke masale ko hal karne ke liye darul qaza ki awareness ke liye juma byan aur social media ka istemal karna.

8. Shaadi ke rishtey jodne ke liye zimmedar hazrat ka fikar mand hona, iske liye achha platform banana. aur biradari mein shaadi ki lanat ko khatam karna.


Note - Ladies ko masjid mein arrangement aaj ke halat mein bahot zaroori hogaya hai. Aur Ulema aur Muslim Personal law baord (AIMPLB) bhi iski baat kehte hain. Iska matlab ye nahi hai ke har namaz mein mardon ki tarah ladies ko bhi bulana hai. balke juma ya kuch khas mauqe par intezam karna hai.

Mufti Tariq Masood - https://youtu.be/zFpuuwx_bEE
Shams Tabrez Qasmi - https://youtu.be/OEkaZIJJrpA







Writer - Muzammil Husain Shaikh.
Pune Maharashtra.
9226443177

 *Writer - Muzammil Husain Shaikh, Pune Maharashtra*

Comments

Popular posts from this blog

Waqf board - What it is, How much land waqf has and Corruption

Collection of Fatwa - Save Income tax in India

Masjid 21 Points